In this post, you will read famous and the best 2 lines Urdu Sher from Atiq Ur Rehman Safi Poetry & Shayari in both Urdu fonts and Roman Urdu text.
Poetry is the best way to describe your emotions. When it comes to emotions you can find marvelous emotional poetry in Urdu. Poetry couplets are mostly read by people these days. That’s why this list contains only 2 line poetry.
Atiq Ur Rehman Safi Poetry in Roman Urdu
Bad main phir malal hoga
__________________________
Ab k toota hai maan esay
Phir na jesay bahal hoga
__________________________
Mat pooch kitne zabt k mosam basar kiye
Ab sakht aarzoo hai kisi ghumgusar ki
__________________________
Main kehta nahi hoon agarcha kisi se
Jeeye jaa raha hoon magar be-dili se
__________________________
Rehta hai wo nazar main chahe kahin bhi jaye
Ankhon main ek chehra marqoom ho chuka hai
Check this beautiful list of 2 line poetry from Ahmed Faraz Poetry
Jeevan bhar ki ye kamai
Aanso, yaadain, judai
__________________________
Lout aaty hain janay wale
Khaam tera khayal hoga
__________________________
Jab bhi tumhari yaad se agay barhna chahoon tou dil mera
Phir se aankh main le aata hai pichli rut ka saath tumhaara
__________________________
Har dard mujh ko paany ko youn be-qarar hai
Boli lagi ho jesay kisi shehkaar ki
Atiq Ur Rehman Safi Shayari in Urdu Font
تمھاری بے رخی پر دل میرا بے چین رہتا ہے
کبھی عادت یہ تم اپنی بھلا دیتے تو اچھا تھا
Tumhari be rukhi pr dil mera be-chain rehta hai
Kabhi aadat ye tum apni bhula detay to acha tha
__________________________
اب بھی بدلے ہیں صرف ہندسے
پہلے جیسا ہی سال ہو گا
Ab bhi badle hain sirf hindse
Pehlay jesa hi saal hoga
__________________________
کہاں سے بہاروں کا سامان لائیں
خزاؤں کے ہر سمت ڈھیرے ہیں گھر میں
Kahan se baaharon ka saaman layen
Khizaaon k har simat deray hain ghar main
__________________________
اگر آ گئے تم تو ڈر ہے یہ مجھکو
خوشی سے ہی گھٹ کے کہیں مر نہ جاؤں
Agar aa gaye tum tou dar hai ye mujhko
Khushi se hi ghut k kahin mar na jaon
___________________________
جانے کب وہ آ جائے اس آس پہ اکثر راتوں کو
آنکھیں دروازے پہ جمائے پہروں بیٹھا رہتا ہوں
Janay kab wo aa jaye is aas pe aksar raaton ko
Ankhain darwazy pe jamay pehron betha rehta hoon
__________________________
نہیں ایسا ہرگز کے گھائل نہیں ہوں
دکھوں کی نمائش کا قائل نہیں ہوں
Nahi esa hargiz k ghayal nahi hoon
Dukhon ki numaish ka qayal nahi hoon
You can also read beautiful poetry couplets from Atbaf Abrak Poetry
عشق کےبحر میں ڈوب جاتا ہے جو
ساحلوں پر کبھی وہ ابھرتا نہیں
Ishq k behar main doob jaata hai jo
Saahilon par kabhi wo ubharta nahi
____________________________
نئے دور میں بات سچ اسکی ٹھہرے
جو بڑھ کے ضرورت سے رکھتا ہے پیسے
Naye dour main baat such uski thehray
Jo barh k zaroorat se rakhta hai paisay
_____________________________
اسکی نظروں سے غم اپنا اوجھل رہا
اس لئے دل ہمیشہ ہی بوجھل رہا
Uski nazron se ghum apna ojhal raha
Is liye dil hamesha hi bojhal raha
About the Poet
Atiq Ur Rahman Safi (عتیق الرحمن صفی ) is a new rising star in Urdu Poetry. He is from Gujrat, Punjab, Pakistan. He has written tons of Urdu Ghazals and Shayari. Here I selected poetry couplets from his book ‘Pichli Rut Ka Saath Tumhara’ and some of his Ghazals.
Most of his poetry covers two favorite topics of everyone, Love and Romance. His poetry is simple yet full of emotions. You can tell by reading his poetry that he is doing great poetry and his writing style is different. You can relate to this modern Urdu poetry.
Final Words
That’s the end of Atiq Ur Rehman Safi poetry. 2 line Urdu poetry is famous among the youth these days. Two lines Urdu Shayari lets you describe your emotions easily and you can remember them and forward them to anyone. You can use them as Whatsapp status or FB status.